Khuda ke fazal se is ssal sharaf e atard me humne ek aisi pur taseer Lohe Atard ba moakkil tyar ki hai jis ki jitni bhi tareef ki jaye kam hai yeh baat to funne amaliyat wattaweezat ke waqif karo.n se poshida nahi ke kisi bhi saiyare ki sharaf ya auj me ya saad nazraat ba deegar saiyargaan me jo naqoosh ,taweez ya talism lkhy jate hain khwah yeh nihayat sada tareek par pur kiye gaye ho.n ,waqte makhsoos me banaye jane ke sabab taseer e kulli rakhte hain jab in sada naqoosh o talismat ka yeh haal hai to woh ba moakkil naqoosh o talismat jo Almalaaikah Walawaan jaise maya naaz jafri qwaid ke tehat tyar kiye jaye.n jin me Miftaah, Mughlaaq, Adal , Waqf , Masahat , Zabta , Ghayat aur Asal ke istekhraj se 8 moakkil Alwi aur 8 Awaan ya jin baramad karke naqsh ya talism ko harkat karne par majboor kia jata hai ,aise naqoosh kis qadar taseer ke hamil honge aise naqoosh o talismat ki qarar waqai quwat ka andaza karna ek mshkil amar hai ,humare yehan aise makhsoos waqto.n me maslan Zohara , Shams , Marrikh , Qamar , Zohal , Mushtari ke sharfaat aur deegar saad nazraat me bamoakkil naqoosh hi ziada tar tyar kiye jate hain ab raqimussutoor Imran Razvee Lohe Atarad ba moakkil ki mukhtasar khasiyat qalamband karte hue mazmoon ka ikhtetam karta hai ,
Lohe Atard ba moakkil ki khasiyat mandarja zeil hain.
@Har qisam ke imtehan me kamyaabi
@Tahreeri fun me maharat
@Taqreeri salahiyat me izafa
@Uloom ke husool me asani
@Ulama aur Peeran e Ezaam ki taskheer
@Band kaam ka jaari hona
@Husool e rizq me aasani
@Kund zahni ka ilaj
@ Nisyaan yani bhulne ki bimari ka khatma
@Dimaghi har qisam ke amraaz ka shafi ilaj
@Zahni istedad me khwatir khwa izafa
@Quwat e Hafiza me ghair mamuli taraqqi
@ Bachcho.n ka taleem me dilchaspi lena
@ Mulazimat naukri me taraqqi
@Kisi deeni dunyawi safar me kaam yabi
@ Malikholia aur pagal pan ka ilaj
@ Bank me kam karne wale afrad ke liye khususi talism hai
@ Padhne likhne wale chhote bachho.n aur muqabla jaati imtehan me baithne wale bade bachhon ke liye ek nemat e ghair mutaraqqaba hai.